अल्फाजों के मोती चुन-चुन कर गीतों की माला मै बुनता हूँ,
जिसे सुनकर सब कुछ भूल सकूँ मै ऐसी गज़लें सुनता हूँ..
गीतों की माला
Himmat
Himmat se har Mushkil Aasaan hoti hai,
Chinta to maut ke samaan hoti hai..
Teer na Talwaar, Aur na hi Bandook,
WAFAA
Wahi Shaam, wahi Gam aur wahi Tanhaayiyaan,
Sath hai apne to bas Yaadon ki Parchhaayiyaan..
Mehfilon ke beech me Hardam Tamaasha hum bane,
Dil se Wafaa jati nahi Milti rahi Ruswaayiyaan..
KYON?
Paya hi na tha tuze to, khone ka Gam ho kyon?
AshQon ke Khazaane se ye Motee kam ho kyon?
Darmiyaan apne kabhi Chaahat rahi hi nahi,
Fir bhala tere liye Meri Aankhen Namm ho kyon?
TSUNAAMI
Dil ke gahre Saagar me Sunaami aane wala hai,
Ishk-E-Mohabbat, Chain-Khushi sab doobne wala hai..
Gam ki Hawaayen tez chali hain AshQon ke Sailaab uthe,
Aaj tumhe jab maine apne Dil se nikala hai..!!
Mohabbat Ke Zakhm
Teri saanso ki mahek aati hai aaj bhi,
Kya tu bhi mere sath bahek jati hai aaj bhi?
Do din ki Mohabbat ne diya Umar bhar ka Zakhm,
Yaad tu aati hai to Aankhen Chhalak jati hai aaj bhi..!!
Mulaakaat
Aaj yun hi unse Mulaakaat ho gayi,
Jo Dil me chhupi thi Unse wo baat ho gayi..
Jaagne ki aadat na thi muzme magar,
Baaton hi baaton me sari Raat ho gayi..
–Gopal K
Muskurate Raho
Gam ko hasi me Chhupate raho,
Dard me bhi Muskurate raho..
Bhaag jayenge Gam tumhe dekhkar,
Bas Haste raho KhilKhilate raho..!
–Gopal K
Tanha-Tanha
Shikwaa
Dosto me bhi Anjaane bahut hain,
Din gujar gaye par afsaane bahut hain..
Shikwe-Gile kayi hain Tumse magar,
Naye to Kam hain Par Puraane bahut hain..
–Gopal k